Posts

Lo Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Naat Lyrics

Image
  Lo Madine Ki Tajalli Se Lagaye Huye Hain Dil Ko Hum Matlae Anwaar Banaye Huye Hain Kashtiyan Apni Kinaare Se Lagaye Huye Hain Kya Wo Doobe Jo Muhammad Ki Tira’e Huye Hain Sharme Isiyan Se Nahi Saamne Jaya Jata Ye Bhi Kya Kam Hai Tere Sheher Me Aye Hue Hain Ik Jhalak Aaj Dikha Gumbade Khazra Ke Maki Kuch Bhi Hai Door Se Didar Ko Aye Hue Hain Haaziro Naaziro Nooro Bashar Gaib Ko Chorr Shukr Kar Wo Tere Aibon Ko Chupaye Hue Hain Naam Ate Hi Abubakro Umar Ka Lab Par Tu Bigadta Hai Wo Pehlu Me Sulaye Hue Hai Qabr Ki Neend Se Uthna Koi Aasan Na Tha Hum To Mehshar Me Unhe Dekhne Aaye Hue Hain Kyon Na Palda Tere Aamal Ka Bhari Ho Naseeb Ab To Mizaan Pe Sarkar Bhi Aaye Hue Hain Sar Pe Rakh Dijiye Zara Daste Tasalli Aakha Gum Ke Maare Hai Zamane Ke Sataye Hue Hain Teri Nisbat Hi To Hai Jiski Badaulat Hum Log Kufr Ke Daur Me Imaan Bachaye Hue Hain

Ilahi Teri Chokhat Per Naat Lyrics

Image
  Zahir Ki Ankh Se Na Tamasha Kare Koi, Ho Dekhna To Deeda-E-Dil Wah Kare Koi, Parh Bethay Kiya Samajh Ker Bhala Toor Per Kaleem Takkat Ho Deed Ki To Taqaza Kare Koi Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon, Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon, Bhikari Woh Ke Jis Ke Paas Jholi Hai Na Payala Hai, Bhikari Woh Jisey Hiras-O-Hawas Nay Maar Dala Hai, Mata-E-Deen-O-Danish, Nafs Ke Hathon Se Lutwa Ker. Sakoon-E-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhent Charha Ker, Lutta Ker Sari Poonji Ghaflat-O-Issyan Ki Daldal Mein, Sahara Lene Aya Hoon Tere Kaabay Ke Aanchal Mein, Gunahon Ki Lipatt Sey, Kaynat-E-Qalb Afsurda, Iraaday muzmehehal, himmat shikasta hoslay murda, Kahan say laoon takat dil ki sachi tarjumani ki, Ke kis jhanjhal mein guzri hein ghariyan zindagani ki. Khulasa Yeh Ke Bus Jull Bhun Ker Apni Roo-Sayahi Sey, Sarapa Faqr Ban Ker Apni Haalat Ki Tabahi Sey, Tere Darbar Mein Laya Hoon Apni Ab Zaboon-Haali, Teri Chokhat Ke Laeq Har Amal Se Hath Hein Khali, Yeh Tera Ghar Hai Ye T...

As sub hu bada min tal’ati hii Naat lyrics in URDU/ARABIC/ENGLISH

Image
As Sub Hu Bada Min Tal’ati Hii                          الصُّبْحُ بدَا مِنْ طَلْعَتِہ W- Al- Laylu Dajaa Minv Wafrati Hee               والليلُ دجا من وفرتہ سحر طاری ہوئی ہے آپ کے ماتھے کی طلعت سے یہ رونق رات نے پائی ہے زلفوں کی عنایت  سے Hai Noor-E-Sahar Chehre Say Tere  Aur Shab Ki Raunak Zulfoon Say. The Light Of Dawn Is From The Radiance Of Your (PBUH) Face The Sparkle Of The Night Is From The Glimmer Of Your (PBUH) Blessed Hair. Allahu Allahu Allahu Allah Allahu Allahu Allahu Allah. Kanz-Ul-Karami Mowl-An-Ni’ Amii                    كَنْزُ الْكَرَمِ مُوْلِي النِّعَم Haad-Il-Umami Li Shari’ati Hii.                           ھادي الاممِ لشريعتہ       خزانے بخششوں کے رحمتوں کے ملک ہیں ان کی ہدایت یاب ساری امتیں اُن کی شریعت  سے Ni’mat...